Matlaabi duniya mein kab tak kiska ashiyana hai, Is bekadar duniya mein sab kuch ek din begaana hai, Tere bedard jakhmon ko seene se laga lunga, tere pyaar ki berukhi mein khud ko aisi saja dunga.
Yaha saare gum mere, khushiyan hai teri, yaha kadar teri aur bekadari hai meri, yaha mohabbat hai teri, aur chahatein hai meri,yaha alfaaz mere aur raahatein hai teri.
Is bekhauf mohabbat mein khoya kiska Imaan hai, yaha kab kaun jaane kiski baahon mein kiski jaan hai, Is bedard ashiqui ka yahi anjaam hai, Jo iski raahon mein kho gya, duniya se wohi anjaan hai.
Isaq ki Haqeeqat ne hamein jeena Shikha diya, Teri berukhi ne hamein peena Shikha diya,Tu bhi chahata hai hamein kheta kyu nahi, Inhein afsaano ne hamein jeetey jee tadpaa diya.